19/05/2026
Garud Puran ke anusaar…
jab kisi paapi vyakti ki mrityu ka samay nikat aata hai… to uski maut bahut hi kashtdayi hoti hai… 😨
Kaha jata hai ki us vyakti ko itna dard hota hai…
jitna ek saath 40,000 bichu ke kaatne par hota hai…
Us samay uski aankhen phat jaati hain…
aur muh se ajeeb aur darawni awaazein nikalti hain…
Jaise hi uski atma sharir ko chhodti hai…
use turant do Yamdoot dikhai dete hain…
Ye Yamdoot uski atma ko pakad kar le jaane ke liye aate hain…
Garud Puran me bataya gaya hai ki…
atma sharir chhodne ke baad ek sukshma roop dharan karti hai…
jo anguthe ke barabar hota hai…
Aur agar us vyakti ka antim sanskar samay par na kiya jaye…
to uski atma wahi apne ghar ke aas-paas bhatakti rehti hai…
Isliye kaha jata hai ki jeevan me acche karm karna bahut zaroori hai…
kyunki mrityu ke baad har vyakti ko apne karmon ka phal bhugatna padta hai…
Agar aapko aise hi dharmik aur rahasyamayi sach jaanne hain…
to channel ko subscribe zaroor karein…