03/10/2024
jabee'n jo usne rakhi Rabbe bahro bar ke liye
Falak se aake farishto'n ne bose sar ke liye
(2)
wo aik marde mujahid tha ahde hazir ka
wo to bana hi tha mazloom ki sipar ke liye
(3)
wo chaahta to hamesha sukoon se rahta
Wo lad raha tha philsteeniyo'n ke ghar ke liye
(4)
Kisi ke waste hamwaar karke raho'n ko
wo chand doob gaya aamade Sahar ke liye
(5)
Ye falsafa hai ise kaise log samjhenge
zamee'n shigaaf huyi hai ghane shajar ke liye
(6)
Yaha'n se nikla to phir wo milega kausar par
Ki uska qasd mukammal tha is safar ke liye
(7)
jawaab eint ka patthar se denge zalim ko
Khuda hayaat de allah ki nasar ke liye
(8)
Ham aise sheeya nahi'n hai'n jo chhupke kate'n hayaat
ham apna sar bhi kata denge raahbar ke liye
(9)
wo sheestani ho'n ya khamnayi ya ki hasan
Labe imam ne ye naam khaskarke liye
(10)
Ye dono'n rahbare aazam hain qaumo millat ke
Inhe'n ama'n me'n khuda rakkhe umr bhar ke liye
(11)
Shahdato'n se nahi'n darte sayyada ke pisar
Hamari qaum ko haq ne chuna hai sar ke liye
(12)
Dilo'n me'n kaash ye quraan ki tarah utre'n
Dua raza ki hai ashaar ke asar ke liye
************************************
( Janab Raza mauranvi s.b)