05/07/2019
Ek Jaan, ek zindagi,
ek raasta hona kya zaruri hain?
Mere janam ke Pehle hi,
Mera raasta mat chunna.
Kuch khwaeshein bunoo ga,
Unhe Pehle hi mat rokna.
Main ek daftar ka musafir banu,
Ya banjara sa bhatku,
Main khel khel Mein zindagi bitaun
Ya haste hasate sabko raaton Mein sulao.
In sawalo ka abb kya matlab.
Hain kayi faisle aana Baaki,
Hain thokar khana Baaki.
Mujhe mere khwabon Mein khone do,
Mummy aur daddy and my family,
Please mujhe apne khwaab dekhne do
Saalon baad ki pehchaan ke liye,
Aaj ki pehchaan mat chuno,
Mummy aur daddy,
Kuch saal Sirf khelne do.
Naam Roshan karu na karu,
Khusiyaan zarur kamaunga,
Paise agar kam kamau,
Par roti har raat khilaunga.
Ek Jaan, ek zindagi,
ek raasta hona kya zaruri hain?
Thought and photo by-
Poem by-