18/10/2025
Aaj Jammu Kashmir ke log sirf sawal nahi kar rahe, wo jawab bhi chah rahe hain.
Mehraj Malik jail main hain, lekin unki awaaz ab bhi zinda hai, kyunki awaaz ko qaid nahi kiya ja sakta.
Lekin sachi baat yeh hai, tab se le kar ab tak, lagta hai sarkar hai bhi ya nahi, kisi ko kuch samajh nahi aa raha.
Na berozgari pe koi baat karta hai, na education system pe.
Awaam ke haq ki baat karna jaise gunaah ban gaya hai.
Aaj har naujawaan ke dil main ek hi sawal hai.
“Kya hum sirf vote dene ke liye reh gaye hain?”
Hum chup hain, lekin be-hiss nahi.
Hum thake hain, lekin haar nahi maani.
Aur jab awaam uthti hai, toh kursiyan hilti hain.
Yeh waqt hai awaaz uthane ka, insaaf maangne ka, aur Jammu Kashmir ke har ghar tak umeed phir se le aane ka.
Kyunki jab tak sach bole jaate rahenge, tab tak zulm kabhi jeet nahi sakta.
Note: Please Follow IC News page!. Apka eak follow hamare liye bhot ahmiat rakhta hai.
Mehraj Malik Aam Aadmi Party Gujarat Aam Aadmi Party - Punjab Aam Aadmi Party - Delhi Aam Aadmi Party Aam Aadmi Party Bihar Awam Ki Awaz